Radha aur Bansuri

Radha ne bansuri se pucha,"Bansuri, yeh btao ki mein  krishna se itna pyaar karti hu, fir bhi krishna mujhse adhik tumhe pyaar karte hain, tumhe apne hotho se lagaye rakhte hai, iska kya karan hai?"


Bansuri ne jawaab diya , " nir hetu samarpan"

" Tan katwaye, mann katwaye,ang ang chidwaye
   Ta par bhi mohan ne , jaiso chahi raag sunaye"

Mene pehle apne "tan ko katwaya" , ped se katkar alag ki gayi,

Fir "mann katwaya" artharth beech mein se bilkul aara paar khali kar di gayi.

Fir "Ang ang chidwayi" arthath mujhme aneko surakh kar diye gaye.

Iske baad bhi mein waise hi baji jaise mohan ne bajana chaha, mein apni icha se kabhi nahi baji.

Yehi antar hai. Mein mohan ki ikcha se chalti hu aur tum mohan ko apni ikcha se chalana chahti ho. :)
Radha aur Bansuri Radha aur Bansuri Reviewed by Unknown on Monday, November 15, 2010 Rating: 5

No comments:

You may also like

Templates
Powered by Blogger.